January 8, 2010

The delphian Silence..


" jaane kyun insaan is duniya mein aata hai,
sansaar rupi jaal mein fas jaata hai;
kaash hota koi aisa raasta,
jis tak insaan aasani se pahunch jataa;
jahan hota andhere mein bhi roshni ka ehsaas,
aur hota ghutan mein bhi sukun ka aabhas;
jahan garmaahat bhi is mom se dil ko pighla na pati,
kathor se kathor pathar ki thokar seh jati;
maangti hu bhagwan se ik aisa rasta dikha de,
maa ke pet mein jo narmi thi usse milade.."


-- G

January 12, 2009

Bankruptcy of Confidence..

“yeh dil hai kuch pareshaa,kaise kare is uljhan ka bayaan;
kai dino se dil ghabrata hai,kuch bhi kehne se darr sa jata hai;
sochta hai kaisa lagta hoga-
jab aasma ka wo ik tara toot jata hoga;
ya raah mein chalte-chalte ik raahgir bhatak jata hoga;
ya ik khiwaiya lahro ki disha ko samajh na pata hoga;
ya us sangeet k mukhde ka ik bol mil na pata hoga;
ya wo dhaga toot k us mala k motiyo ko bikhra deta hoga..
lagta hai jaise sab kuch khatm sa hai;
us ik chhan k liye dil taras jata sa hai;
duaan ab ek hi hai upar wale se;
chhin na lena is mann ka chain is bure naseeb wale se;
anjane mein hi na mujhse koi aisi bhul ho jaye;
ki meri jindagi khud-b-khub mujhse hi ruth jaye..”


-- G